Gul-e-Bostan-e-Nabi Ghous-e-Azam
Mah-e-Aasman-e-Ali Ghous-e-Azam
Jisay chaahay kar de ata sarbulandi
Mili hai tujhay khusrawi Ghous-e-Azam
Wali ho gaya woh isharay se teray
Sada jis ne ki rehbari Ghous-e-Azam
Barha haath teri taraf muflison ka
Nazar teri janib uthi Ghous-e-Azam
Wali ban gaye dam mein fussaq-o-rahzan
Nazar teri jab par gayi Ghous-e-Azam
Wali qutb-o-abdal-o-autad-o-kamil
Karain tujh se kya hamsari Ghous-e-Azam
Tu woh gul hai bagh-e-Hussain-o-Hassan ka
Ke bu teri sab mein basi Ghous-e-Azam
Qadam kyun na lein Awliya chashm-o-sar par
Ke hain wali har wali Ghous-e-Azam
Khuda tak na kyonkar ho us ki rasai
Karay jis ki tu rehbari Ghous-e-Azam
Tu hai Shaikh-e-Kul aur sab teray chelay
Teray zer-e-pa har wali Ghous-e-Azam
Wilayat ka hai mulk zer-e-hukoomat
Mili tujh ko shahan-shahi Ghous-e-Azam
Wilayat karamat ko hai naaz jin par
Woh tujh se huay malji Ghous-e-Azam
Milay hain teray jad-e-amjad se tujh ko
Uloom-e-khafi-o-jali Ghous-e-Azam
Tumhain sab hai maloom tum par hai roshan
Hui hai jo halat meri Ghous-e-Azam
Hazaron alam sar pe aur main akela
Meri dekh lo bebasi Ghous-e-Azam
Hai bigri hui aaj kal meri qismat
Tu chaahay to sambhlay abhi Ghous-e-Azam
Badal de tu achi se achay ka sadqa
Jo hai mujh mein khuslat buri Ghous-e-Azam
Isharay se teri nigah-e-karam ke
Hazaron ki bigri bani Ghous-e-Azam
Meri jholiyan bhi muradon se bhar de
Sakhi hai tu ibn-e-sakhi Ghous-e-Azam
Phiray dar badar kyun bhikari bhatakta
Teray ghar mein hai kya kami Ghous-e-Azam
Tu khoon-e-shaheedan ke sadqay mein dho de
Hui mujh se jo kuch badi Ghous-e-Azam
Laga de sahara madad kar khudara
Talatum mein kashti phansi Ghous-e-Azam
Ho sarsabz shadab bagh-e-tamanna
Rahay shakh-e-dil ki hari Ghous-e-Azam
Tufail-e-Payamber yahi mudda hai
Ke ho sar-nigoon mudda'i Ghous-e-Azam
Agar teri imdad aaye madad ko
Muqaddar ki niklay saji Ghous-e-Azam
Teray zikr mein aish-o-izzat se guzray
Jo baqi hai kuch zindagi Ghous-e-Azam
Khuda ke liye aisa be-khud bana de
Ke mit jaye sari khudi Ghous-e-Azam
Meray Maula aa jao dil mein ke niklay
Jo hai dil mein hasrat bhari Ghous-e-Azam
Main samjhoon ke ab jaan mein jaan aayi
Jo aayain dam-e-jaan ghani Ghous-e-Azam
Hoon imaan ke sath duniya se rukhsat
Yahi arz hai aakhri Ghous-e-Azam
Suna la takhaf tera farman-e-aali
Ghulamon ki dharas bandhi Ghous-e-Azam
Karen jubba saayi jahan taj walay
Woh hai aap ka aastan Ghous-e-Azam
Mitaye teray dar pe jo apni hasti
Rahay us ka naam-o-nishan Ghous-e-Azam
Milay ab to gulzar-e-Baghdad mujh ko
Main bulbul hoon be-aashiyan Ghous-e-Azam
Milay gi hamain teray daman ke neechay
Do aalam mein aman-o-aman Ghous-e-Azam
Do aalam mein hai kaun haami hamara
Yahan Ghous-e-Azam wahan Ghous-e-Azam
Zara sidq-e-dil se pukaro to un ko
Abhi jalwa-gar hoon yahan Ghous-e-Azam
Na ho mubtala woh kabhi ranj-o-gham mein
Karay jis ko tu shadman Ghous-e-Azam
Agar zikr mein teray guzray to behtar
Yeh thori si umr-e-rawan Ghous-e-Azam
Milay ranj-o-afkar se mujh ko mohlat
Ke hoon aap ka madah-khwan Ghous-e-Azam
Meray dam mein jab tak rahay dam rahoon mein
Teray zikr se tar-e-zaban Ghous-e-Azam
Dam-e-soor-e-marqad se kehta uthoon ga
Wahan le chalo hain jahan Ghous-e-Azam
Hamare qusoor-o-khata bakhshwa kar
Dilayain qusoor-e-jinan Ghous-e-Azam
Kya murgh-e-sookhi hui haddiyon ko
Yeh rakhtay hain taab-o-tawan Ghous-e-Azam
Jameel ab ho sakat maqam-e-adab hai
Kahan tera munh aur kahan Ghous-e-Azam