Ae zair-e-kuye Nabi itna to kar ae meharban
Ahl-e-Madina ko suna haal-e-Naeem-e-khasta jaan
Mayusiyon ki kasratein nakamiyon par hasratein
Tanhaiyon ki wehshatein andoh-e-gham ki dastaan
Be-tabiyon ka silsila be-chiniyon ka mashghala
Nasabiriyon ka ghulghula aur shiddat-e-dard-e-nahan
Sar mein hai sauda-e-junoon wehshat se halat hai zaboon
Dil se hua rukhsat sukoon aankhon se ashk-e-khoon rawan
Shiddat pe hai doran-e-sar zoron pe hai dard-e-jigar
Khoon ro rahi hai chashm-e-tar phat kar hua hai dil gutan
Jaate rahe taab-o-tuwaan aaza mein quwwat hai kahan
Gham ne kiya hai neem jaan dard-e-judai al-aman
Yeh shorish-e-toofan-e-gham yeh soz-e-ranj-o-alam
Hijran ke yeh jaur-o-sitam aur yeh zaeef-o-natwaan
Din hasraton mein kaatna raton ko rona jaagna
Har waqt gham ka samna har lahza aankhein khoon-fishan
A'ada ke narghey hain juda apne hue hain be-wafa
Har samt se aayi bala aafat ka toota aasman
Jaur-o-sitam ki barishein aur dushmano ki sazishein
Be-kaar hain sab nalishein Muslim ka khoon hai raayegan
Hum kya kahein haal-e-tabah hum se hue be-had gunaah
Be-shak hain hum siyah nadim hain ab hum be-gumaan
Rabb-e-zalamna nafsana tubna ilaika rabbana
Faghfirlana ma qad maza bakhsh ae Rahim-e-be-kasan
Ya ahl-e-Taibata unzuru ahwalana summazhabu
Indash-shafee-i-washfa'u fi hazratihi bil-janan
Qulu lahu khairal wara irham ala man qad asa
Jaa-a ilaika taiban kun dargar-zar az jurm-e-aan
Ae khatam-e-paighambaran ae sarwar-e-har do jahan
Ae maalik-e-kon-o-makaan rehme bahal-e-aasiyan
Ae rehmat-e-alam madad ae sayyid-e-akram madad
Ae dafe-e-har gham madad imdad ae Shah-e-jahan
Faryad ae sultan-e-deen ae rehmatallil-alamin
Tum ho shafee-ul-muznibeen is dar se hum jayen kahan
Faryad ae mehboob-e-Rabb faryad ae Shah-e-Arab
Hum tum se karte hain talab dil ki muradein har zaman
Dil ki muradein dijiye masroor hum ko kijiye
Ab to khabar le lijiye gham ho chuke hain be-garaan
Hum ko khalasi ho ata ho door sab ranj-o-bala
Aafat ki ghat jaye ghata chamkein na gham ki bijliyan
Ab kijiye aisa karam ho deen ka ooncha alam
Kuffar ki gardan ho kham in ka mite naam-o-nishan
Islam ki lijiye khabar aur kufr ko pohanche zarar
Kuffar hon zer-o-zabar sab bhool jayen mastiyan
Muslim ko phir shaukat mile Islam ko quwwat mile
Bad-khwah ko zillat mile ae deen-e-haq ke pasban
Zauq-e-ibadat hum ko do, shauq-e-riyazat hum ko do
Sunnat ki raghbat hum ko do, hum se ada hon nekiyan
Muslim hon baham muttahid, bhai ka bhai ho mumad
Mit jaye sab aapas ki zid, rashk-e-hasad se ho amaan
Taiba mein apne lutf se, izn-e-iqamat dijiye
Furqat se dil betab hai, kab tak rahoon Hindostan
Rah-e-Madina door hai, banda bohat ranjoor hai
Aur hazri manzoor hai, imdad Sultan-e-Jahan
Ya Rabbana salli 'ala mahbubika mahbubana
Azka salatin da'iman anma salatin kull-e-aan
Ya Rabbana sallim 'ala ruhin nabiyyil Mustapha
Wal aali was-sahbi ila ma dara dawranuz zaman