Ma-o-man se bachaye Aale Rasool
Man-o-an hoon razaye Aale Rasool
Haq mein mujh ko gumaye Aale Rasool
Mujh ko haq se milaye Aale Rasool
Meri aankhon mein aaye Aale Rasool
Mere dil mein samaye Aale Rasool
Tu hi jaane fadaye Aale Rasool
Qadare sumu samaye Aale Rasool
Saat aflaak zeene phir kursi
Arshe rif'at saraye Aale Rasool
Chandna chand ka Madeene ke
Lam'a haq numaye Aale Rasool
Hai irada tera irada-e-Haq
Haq ki marzi razaye Aale Rasool
Baad jis ke na hoga faqr kabhi
Woh ghina hai ghinaye Aale Rasool
Sibghatullah ki chadhi apni
Haq ki rangat rachaye Aale Rasool
Is ki neyrangiyon mein hoon yak rang
Rang-e-wahdat jamaye Aale Rasool
Ho khudi door aur Khuda baqi
Ho Khuda hi khudaye Aale Rasool
Maut se pehle mujh ko maut aaye
Meri hasti mitaye Aale Rasool
Yun mitoon mein ke mujh mein mit jaye
Mujh ko mujh se gumaye Aale Rasool
Jeete jee jee mein mein guzar jaon
Phool meri uthaye Aale Rasool
Beri kat jaye har tashakhus ki
Qaid se yun chhuraye Aale Rasool
Yeh khudi bhi fadaye da'wa hai
Kar de be-khud khudaye Aale Rasool
Surat-e-Sheikh ka tasawwur ho
Hoon mein mahw-e-liqaye Aale Rasool
Sar ta payam fida sar-o-pa-iyat
Woh bacha noor-o-ziyaye Aale Rasool
Dil-o-janam fida sarat gardam
Lam'a haq numaye Aale Rasool
Bhar de qatre ke seene mein qulzum
Nam mein yam ko samaye Aale Rasool
Haqquhu haq ho zahir-o-batin
Haq ke jalwe dikhaye Aale Rasool
Dil mein Haq Haq zaban pe Haq Haq ho
Deed-e-Haq ki karaye Aale Rasool
Haq ka deewana Haadi-e-Haq se
Haq ki dhoomein machaye Aale Rasool
Faani ho jaon Sheikh mein apne
Hubahu ho adaye Aale Rasool
Fani fillah baqi billah hoon
Tu hi to hai khudaye Aale Rasool
Yeh taqarrub mile nawafil se
Hoon habeeb-e-fadaye Aale Rasool
Haath paon ho aankh kaan ho woh
Aql bhi ho fadaye Aale Rasool
Mere a'za bane mera Maulay
Mujh pe pyar aaye, aaye Aale Rasool
Is se dekhon sunon chalon pakroon
Maulay de banda paye Aale Rasool
Meri hasti hijab hai mera
Tu hi parda uthaye Aale Rasool
Qurb-e-haasil ho phir faraaiz ka
Sufi-e-kaamil banaye Aal-e-Rasool
Mulk-e-Lahoot se ilannasoot
Honay raj'at na paaye Aal-e-Rasool
Sair-e-fillah aur minallah ho
Darjay sab tay karaye Aal-e-Rasool
Phir ilallah fana-e-mutlaq se
Poora saalik banaye Aal-e-Rasool
Qaid-e-Nasoot se rihai ho
Phere mere badhaye Aal-e-Rasool
Shaakh-e-Lahoot par baseera ho
Ho yeh taair-e-huma-e-Aal-e-Rasool