Na kyonkar Madine pe Makka ho qurban
Ke hain jalwa-gar us mein Mehboob-e-Yazdan
Baraste hain har waqt anwar-e-Subhan
Hai har ek goshah wahan ka gulistan
Ajab dil-kusha hain Madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Sar-e-Toor par the jo jalwe numayan
Hain anwar woh hi yahan par darakhshan
Janab-e-Kaleem aa ke dekhein agar yaan
Kahein ghash mein aa kar ke Ya Rabb teri shaan
Ajab dil-kusha hain Madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Madine ki janib chalun pa bajolan
Nikalte hi ghar se banun un ka mehman
Pahunch kar wahan par karun yeh dil-o-jaan
Sunhare guls sabz gunbad pe qurban
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Madine ki har shay nafasat bhari hai
Madine se kaabe ko izzat mili hai
Wahien ki toh phoolon mein khushbu basi hai
Saba wajd mein jhoom kar keh rahi hai
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Woh kucha hai ya koi rehmat ka khwan hai
Ke sara zamana wahan mehman hai
Haqeeqat mein woh hoor-o-ghilman ki jaan hai
Jahan us ki tareef mein tar zaban hai
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Madine se hoti hai taqseem-e-nemat
Wahien se bana karti hai saari daulat
Fida us pe hoti hai har waqt jannat
Barasti hai din raat wan haq ki rehmat
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Muradein yahin se gada pa rahe hain
Salateen yahan haath phela rahe hain
Bashar kya malaik yahan aa rahe hain
Jhuka kar sar-e-ajz farma rahe hain
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Woh galiyan jahan par malak sar jhukayein
Woh galiyan ke aashiq ke dil mein samayein
Woh galiyan ke hain jin ki pyari adayein
Kisi ko hansayein kisi ko rulayein
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Woh galiyan ke chamkayein zair ki qismat
Woh galiyan ke ushaq ke dil ki rahat
Woh galiyan ke jin mein nazar aaye jannat
Woh galiyan ke phoolon mein hai jin ki fuhat
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Madine ki galiyon ki gar khaak paaon
Malun munh pe aankhon mein apni lagaoon
Haseenan-e-alam ko aankhein dikhaoon
Ghazalan-e-cheen ko yeh muzda sunaoon
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Madine ko jis waqt ghar se chaloon ga
To phir kis ke roke se main ruk sakoon ga
Kahe lakh koi na hargiz sunoon ga
Jo ahbaab poochein ge foran kahoon ga
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Dimagh-e-arsh par kyun na ho is zameen ka
Ke roza hai is mein shehenshah-e-deen ka
Udhar hi jhuka sar hai arsh-e-bareen ka
Yeh kehta hai har ek zarra yahin ka
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Raaho ae Jamil ab madine mein ja kar
Barasti hai din raat rehmat wahan par
Ke hai us mein bagh-e-uhad ka gul-e-tar
Hai har ek kucha wahan ka muattar
Ajab dil-kusha hain madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Zarra zarra ka hai un ko ikhtiyar
Baanttay hain na'matein leil o nahaar
Suntay hain yehi ghareebon ki pukaar
Saaray aalam ke yehi gham-gusaar
Kartay hain faryad un se jaanwar
Bikeson ki yehi letay hain khabar
Sar par un ke dono aalam ka hai taaj
Un ko detay hain shahaan-e-dahr baaj
Mazhar-e-ilm-e-Khuda Ummi laqab
Mukhbar-e-sadiq shehenshah-e-Arab
Un ki izzat kaun jaanay juz Khuda
Khud woh farmata hai Lawlaka lama
Sang un ke paaye aqdas dekh kar
Kheenchay hain un ka naqsha qalb par
Kyun na ho hai arsh ki izzat qadam
Kyun na ho hai farsh ki zeenat qadam