Raza-e-Ghaus Ahmed Ki Raza Hai
Raza Ahmed Ki Marzi Khuda Hai
Kamaalat-o-Uloom-e-Mustafa Se
Shah-e-Jeelan Tujhe Hissa Mila Hai
Tu Aaina Jamal-e-Mustafa Ka
Tu Haq Go Haq Shanas-e-Haq Numa Hai
Janab-e-Mustafa Zil-e-Khuda Hain
Tu Zil-e-Mustafa Noor-e-Khuda Hai
Tere Hum Ho Chuke Tu Hai Hamara
Khuda Ka Tu Hai Aur Tera Khuda Hai
Jo Munkir Hai Tera Woh Haq Ka Munkir
Jo Banda Hai Tera Abd-e-Khuda Hai
Tera Mangta Hai Maqbool-e-Ilahi
Tere Munkir Pe Qahar-e-Kibriya Hai
Muhiyuddin Na Kyun Ho Naam Tera
Ke Tu Ne Deen-e-Haq Zinda Kiya Hai
Koi Baghdad Wale Se Yeh Keh De
Ke Waqt-e-Islam Par Aa Kar Pada Hai
Koi Ho Us Taraf Rehmat Ka Pheera
Ke Banda Raah Teri Tak Raha Hai
Kidhar Ho Qadri Dulha Kidhar Ho
Yeh Har Mujrim Ke Lab Par Iltija Hai
Sharaf Kis Se Bayaan Ho Tere Sar Ka
Wali Ka Taj Tera Naqsh-e-Pa Hai
Qadam Tera Liya Hai Sar Par Woh Be-Shuba Wali Ba-Khuda Hai
Na Kyun Hoon Hind Ke Sultan Khwaja Ke Aankhon Par Qadam Tera Liya Hai
Wali Kehte Hain Jin Ko Hain Ri'ayat Shah-e-Baghdad Shah-e-Auliya Hai
Tu Hai Woh Phool Bagh-e-Mustafa Ka Ke Khushbu Se Teri Aalam Basa Hai
Tu Zahra-o-Ali Ka Noor-e-Ainain Tu Shama-e-Bazm-e-Shah-e-Karbala Hai
Husn Ke Phool Mehka Tujh Se Baghdad Hussaini Itr Tu Sab Mein Basa Hai
Shaheed-e-Ishq Kar Rangat Racha De Ke Tu Ibn-e-Shaheed-e-Karbala Hai
Salateen-e-Jahan Hain Us Ke Mangta Jo Tere Aastane Ka Gada Hai
Mareez-an-e-Jahan Ki Fazl-e-Rabb Se Tumhare Haath Mein Kamil Dawa Hai
Shifa Chaho To Jald Aao Mareezo Dar-e-Ghaus-ul-Wara Dar-us-Shifa Hai
Laga Hai Dil Ghulamon Ka Thikane Muridi La Takhaf Jab Se Suna Hai
Tere Darbar Par Anwar-e-Ghaus Koi Bhi Loot Kar Khali Phira Hai
Jo Dam Mein Chor Ko Abdal Kar De Woh Rutba Ghaus-e-Azam Ko Mila Hai
Jahan Pheela De Jholi Un Ka Mangta Wahin Mojood Data Ki Aata Hai
Haq Ta'ala ne kiye be-had kamalat-o-uloom
Tere seena mein nihan Ahmed Raza Khan Qadri
Saif-e-a'ada ke liye momin ke haq mein hai sipar
Aap ki haq-go zaban Ahmed Raza Khan Qadri
Ahle-sunnat ke saron par da'iman rakhe Khuda
Tujh ko ba-amn-o-aman Ahmed Raza Khan Qadri
Aaliman-e-Makkah-o-Taiba ne li tujh se sanad
Hain woh tere qadar-dan Ahmed Raza Khan Qadri
Kya sata sakte hain tujh ko tere a'ada murshida
Haq hai tujh par meharban Ahmed Raza Khan Qadri
Par gaya hai pusht par a'ada ki ab kya jaye ga
Tere koray ka nishan Ahmed Raza Khan Qadri
Dekh kar jalwa Ashidda-u-alal-kuffar ka
Har adu hai be-zaban Ahmed Raza Khan Qadri
Cheer kar bad-mazhabon ke dil mein guzri waar paar
Tere neze ki sinan Ahmed Raza Khan Qadri
Aa chali thi Sheikh Najdi ke biyabaan mein bahaar
Bhej di tu ne khizaan Ahmed Raza Khan Qadri
Fatah di haq ne tujhe a'ada-e-deen par da'iman
Tujh pe hai haq meharban Ahmed Raza Khan Qadri
Haq use kehte hain dekho rad na koi kar saka
Tera fatwa-e-uraan Ahmed Raza Khan Qadri
Kya satate tujh ko a'ada thi yeh hikmat-e-khalq ka
Ho raha tha imtehan Ahmed Raza Khan Qadri
Da'wa-e-a'ada haqeeqat mein kasauti tha ke hon
Dost aur dushman ayan Ahmed Raza Khan Qadri
The wasi Ahmed Muhaddis-e-Rahmatullah Alaih
Aap ke ek rutba-dan Ahmed Raza Khan Qadri
Karam Usman-e-Zul-Noorain ka hai, ke Abdul Mustafa dulha bana hai
Sakhawat hai Ali-e-Murtaza ki, ke Abdul Mustafa dulha bana hai
Ghata Baghdad se uthi karam ki, ke Abdul Mustafa dulha bana hai
Yeh hai Baghdad wale ka tasarruf, ke Abdul Mustafa dulha bana hai
Mubarak Ahle Sunnat ko mubarak, Raza-e-Qadri dulha bana hai
Kahein kyonkar na achhe tujh ko achha, Huzoor achhe ka to achha hua hai
Bhikari aa rahe hain bheek lene, Raza ke dar se baadh abt raha hai
Jalein aada na dein naar-e-hasad mein, ke yun hi un ki qismat ka buda hai
Raza kyonkar na ho aada pe ghalib, ke woh to naib-e-Sher-e-Khuda hai
Munafiq hai adu us aastan ka, jo Sunni hai woh us dar ka gada hai
Rukh-e-Qibla agar poochho to keh doon, dar-e-Ahmad Raza Qibla Numa hai
Ba-hamd-e-Allah khushbu-e-Raza se, dimagh-e-Ahle Sunnat bas raha hai
Phale un ka Ilahi baagh-e-aulad, yeh har Sunni ke lab par iltija hai
Jamil-e-Qadri Alhamd-o-Lillah, ke tu us aastane ka gada hai