Main ne phailaya daaman-e-maqsood
Bhar de rehmat ke tu ghar Ya Rabb
Dil-e-veeraan ko noor se bhar de
Ke ho aabaad yeh khandar Ya Rabb
Arsh is ko kahoon ke Baitullah
Mere dil mein hai tera ghar Ya Rabb
Naam ko tere ratte ratte roz
Shaam se main karoon sehar Ya Rabb
Mere seene ko apni ulfat se
Batufail-e-Habeeb bhar Ya Rabb
Zarra zarra se aashkara hai
Tu kisi ja nahin magar Ya Rabb
Tera jalwa kahan nahin maujood
Sab ke dil mein hai tera ghar Ya Rabb
Nahnu Aqrab se thal gaya ke tu hai
Rag-e-jaan se qareeb tar Ya Rabb
Teri tahmeed karte hain har dam
Mor o maar o shajar hajar Ya Rabb
Karte hain subh o shaam lail o nahaar
Teri tasbeeh khushk o tar Ya Rabb
Mere jurm o qasoor par na ja
Apni rehmat pe kar nazar Ya Rabb
Na thikana mera lage ga kahin
Tu ne chhoda mujhe agar Ya Rabb
Apne Mehboob ka mujhe waasif
Rakh tu rehmat se umr bhar Ya Rabb
Urr ke pahunchoon main shehr-e-Taiba mein
Mere lag jayen aise par Ya Rabb
Jo ke jalte hain zikr-e-maulid se
Kar ata un ko saqar ya Rab
Nechari o Wahabi o Rafaz
Qahar ki un pe kar nazar ya Rab
Aur jitne hain dushman-e-Islam
Jald dozakh mein un ko bhar ya Rab
Maskh karde ke un ki ho jaye
Surat o saut-e-misl-e-khar ya Rab
De ye taufeeq tere aada se
Ahlesunnat karein hazar ya Rab
Zer-e-har dam rahein tere dushman
Deen tera rahe zabar ya Rab
Qadri hai Jamil-e-Ghaffar
Sab gunah us ke afv kar ya Rab