Khuda ke fazl se hum par hai saya Ghous-e-Azam ka
Hamein donon jahan mein hai sahara Ghous-e-Azam ka
Baliyat-o-gham-o-afkar kyon kar gher sakte hain
Saron par naam leewon ke hai panja Ghous-e-Azam ka
Muridi la takhaf keh kar tasalli di ghulamon ko
Qayamat tak rahe be-khauf banda Ghous-e-Azam ka
Jo apne ko kahe mera mureedon mein woh dakhil hai
Yeh farmaya hua hai mere Aqa Ghous-e-Azam ka
Sijill un ko diya woh Rab ne jis mein saaf likha hai
Ke jaye khuld mein har naam leewa Ghous-e-Azam ka
Hamari laaj kis ke haath hai Baghdad wale ke
Musibat taal dena kaam kis ka Ghous-e-Azam ka
Jahaz-e-tajiran gardab se fauran nikal aaya
Wazifa jab unhon ne parh liya Ya Ghous-e-Azam ka
Hui ik dev se larki raha us naam leewa ki
Parha jangal mein jab us ne wazifa Ghous-e-Azam ka
Hua mauqoof fauran hi barasna ahl-e-majlis par
Jo paya abr-e-baran ne ishara Ghous-e-Azam ka
Naya hafta naya din saal-e-nau jis waqt aata hai
Har ik pehle baja lata hai mujra Ghous-e-Azam ka
Jo Haq chahey woh yeh chahein jo yeh chahein woh Haq chahey
To mit sakta hai phir kis tarah chaha Ghous-e-Azam ka
Faqeehon ke dilon se dho diya un ke sawalon ko
Dilon par hai bani Aadam ke qabza Ghous-e-Azam ka
Woh keh kar Qum bi iznillahi jala dete hain murdon ko
Bahut mashhoor hai ahya-e-mauta Ghous-e-Azam ka
Jalaya ustukhwan-e-murgh ko dast-e-karam rakh kar
Bayan kya ho sake ahya-e-mauta Ghous-e-Azam ka
Ila ya mubarak aati thi awaz khalwat mein
Yahin se jaan le munkir to rutba Ghous-e-Azam ka
Lahad mein jab farishtay mujhse poochein ge toh keh doon ga
Tariq-e-Qadri hoon naam lewa Ghaus-e-Azam ka
Nida de ga munadi hashr mein yun Qadriyon ko
Kidhar hain Qadri kar lein nazara Ghaus-e-Azam ka
Chala jaye bila khauf-o-khatar Firdous-e-Aala mein
Faqat ek shart hai ho naam lewa Ghaus-e-Azam ka
Farishton rokte kyun mujhe jannat mein jaane se
Yeh dekho haath mein daaman hai kis ka Ghaus-e-Azam ka
Janab-e-Ghaus dulha aur barati awliya honge
Maza dikhlaye ga mehshar mein sehra Ghaus-e-Azam ka
Yeh kaisi roshni phaili hai maidan-e-qayamat mein
Naqab utha hua hai aaj kis ka Ghaus-e-Azam ka
Yeh mehshar mein khule hain gesoo-e-anbar fishan kis ke
Barasta hai karam ka kis ke jhaala Ghaus-e-Azam ka
Yeh qaidi chhoot rahe hain is liye maidan-e-mehshar mein
Khuda khud baantta hai aaj sadqa Ghaus-e-Azam ka
Gujari khel mein kal ab hui aamaal ki pursish
Magar kaam aa gaya us dam waseela Ghaus-e-Azam ka
Kabhi qadmon pe lootoon ga kabhi daaman pe machloon ga
Bata doon ga ke yun chhoota hai banda Ghaus-e-Azam ka
Thikana us ke neechay ya Khuda mil jaye hum ko bhi
Khara ho hashr mein jis waqt jhanda Ghaus-e-Azam ka
Khawanda dua maqbool kar hum rusiyahon ki
Gunahon ko hamare baksh sadqa Ghaus-e-Azam ka
Meri phooti hui taqdeer ki qismat chamak jaye
Banaye mujh ko sag apna jo kutta Ghaus-e-Azam ka
Lahad mein bhi khuli hain is liye ushshaq ki aankhein
Ke ho jaye yahin nazara Ghaus-e-Azam ka