Bayan tum se karoon kis waste mein apni halat ka
Ke jab tum par ayaan hai har dam saari khilqat ka
Khudai bhar ke malik ho khudai tum se bahar hai
Na koi hai na hoga hashr tak tum si hukumat ka
Na kyon shah-o-gada pheylayen jholi astane par
Ke rakha Haq ne tere sar pe taj apni niyabat ka
Tu woh hai zill-e-Haq noor-e-mujassam parto-e-qudrat
Pasand aya tere sani ko naqsha teri soorat ka
Mere wali tere sadqe mein hum se nabkaron ne
Laqab Quran mein paya hai Khuda se khair-e-ummat ka
Unhein kya khauf ho uqba ka aur kya fikr-e-duniya ki
Jamaye baithe hain jo dil pe naqsha teri soorat ka
Sharaf bakhsha unhein Maula Ta'ala ne malaik par
Sila paya yeh Jibraeel-e-Ameen ne teri khidmat ka
Madine mein hazaron jannatein un ko nazar ayin
Nazara kar tu lein ek baar Rizwan meri jannat ka
Raja-o-yas-o-umeed-o-tamanna dil ke andar hain
Mera seena nahi goya ke ganjina hai hasrat ka
Na abid hain na zahid hain magar hum tere bande hain
Sahara hai hamhein teri himayat ka shifa'at ka
Rasool-Allah ka jo ho gaya Rab ho gaya us ka
Faqat zaat-e-muqaddas hai waseela Haq ki qurbat ka
Bulandi falak ka jab kabhi mujh ko khayal aya
Khicha naqsha meri ankhon mein roze ki ziyarat ka
Bajuz deedar ja sakti hai kyonkar tishnagi us ki
Jo pyasa hai mere Maula teri royat ke sharbat ka
Woh gesuye mubarak kyon na jaan-e-mushk-o-ambar hon
Ke jin ke waste shana bana hai dast-e-qudrat ka
Abas hai us ko ahl-e-bait se da'wa mohabbat ka
Jo munkir ho gaya Siddiq-e-Akbar ki khilafat ka
Munafiq jis qadr chahein karein koshish ghatane ki
Qayamat tak rahe ga bol bala ahl-e-sunnat ka
Abu jahl-e-laeen hai aalam hai jis ke kufr par shahid
Ta'ajjub kya agar dushman tha woh shaan-e-risalat ka
Wahabi kalma parh kar karte hain tauheen-e-Maula ki
Baroz-e-hashr le ayenge tamgha adawat ka
Wahabi tukhm-e-Bujahl-e-laeen ka ek pooda hai
Samar lata hai Mehboob-e-Ilahi ki adawat ka
Uloom-e-Ghaib ka munkir teri tanqees ka jooyan
Wahabi ban gaya putla zalalat ka khabasat ka
Jamil-e-Qadri ki yani itni tamanna hai
Chupale roz-e-mehshar is ko daman teri rehmat ka
Allah ne wada yeh kiya hai shab-e-meraj
Dozakh mein rahega na gunahgar tumhara
Jab tum ko bulaya shab-e-meraj Khuda ne
Jibreel bana hashia bardar tumhara
Bandon ko kisi waqt bhi dil se na bhulaya
Hai ummat-e-aasi pe ajab pyar tumhara
Kyun aasi-o-gham se hai dil afgar tumhara
Ghamkhwar tumhara hai woh dildar tumhara
Lo aaya woh haami-o-madadgar tumhara
Beda hua aye ahl-e-sufan paar tumhara
Aye aasiyo tum apne gunahon se yeh keh do
Sarkar-e-Madina hai kharidar tumhara
Maidan-e-qayamat mein bajuz zaat-e-muqaddas
Aur aasiyo hai kaun kharidar tumhara
Ghabraye gunahgar toh rehmat ne pukara
Aye aasiyo aaponcha madadgar tumhara
A'maal na kuch poochna rehmat ke muqabil
Jis waqt jise hashr mein darbar tumhara
Duniya mein qayamat mein sar-e-pul pe lahad mein
Daman na chhoote haath se sarkar tumhara
Aye kash malaik sar-e-mahshar kahein mujh se
Lo dhal gaya sab jurmon ka tomar tumhara
A'da ko jalane ke liye naar-e-hasad mein
Ham zikr kiye jayenge sarkar tumhara
Tauheed pe marte hain magar us se hain ghafil
Allah ka inkar hai inkar tumhara
Tauheen ko tauheed samajhte hain Wahabi
Samjhe nahi Rab-e-Wahid-o-Qahhar tumhara
Bulbul hai Jamil-e-Rizvi aye gul-e-wahdat
Mil jaye use rehne ko gulzar tumhara