Bashar se ghair mumkin hai sana Hazrat-e-Muhammad ki
Khuda karta hai khud Quran mein midhat Muhammad ki
Pasand-e-Haq hui sall-e-ala surat Muhammad ki
Na kyun donon jahan ko dil se ho chahat Muhammad ki
Hai muzdah mominon ko man raani qad ra-al-Haq
Khuda dekha jise hasil hui ru'yat Muhammad ki
Bashar jin-o-malak hargiz nahi mumkin ke pehchanein
Khuda hi jaanta hai rifat-o-shaukat Muhammad ki
Khuda se apni ummat ke liye poocha jo Musa ne
To farmaya ke afzal sab se hai ummat Muhammad ki
Huye but sar-nigoon aatish kadah mein zalzalah aaya
Dilon par chha gayi kuffar ke haibat Muhammad ki
Ilahi bandah-e-nacheez ki tujh se dua yeh hai
Taraqqi par rahe dil mein sada ulfat Muhammad ki
Bhikari nematon se bhar rahe hain jholiyan apni
Masakeen-e-jahan par waqf hai daulat Muhammad ki
Yeh rehmat hai ke dete hain duayein dushmanon ko bhi
Niraali saare aalam se hai har aadat Muhammad ki
Chamakti thi woh bijli tegh-e-Sultan-e-Risalat ki
Farishte dekhte thay jang mein saulat Muhammad ki
Bhare hain jeb-o-daman nematon se donon aalam ke
Magar dene se bhar sakti hai kab niyat Muhammad ki
Mohabbat rakhte hain mehboob-e-Haq apne ghulamon se
Khuda ko is liye mehboob hai ummat Muhammad ki
Khuda is waaste qaim kare ga bazm-e-mahshar ko
Ke dekhein awwalin-o-aakhireen izzat Muhammad ki
Dikhayi apni tezi aaftab-e-hashr ne jis dam
Ghulaman-e-Nabi par chha gayi rehmat Muhammad ki
Gunahgaro kahan phirte ho sargardan idhar aao
Tumhari justaju mein phirti hai rehmat Muhammad ki
Jise kehte hain mahshar eid hai woh Ahl-e-Sunnat ki
Kabhi dekhein ge Haq ko aur kabhi surat Muhammad ki
Banaye jayen ge mehman ghulaman-e-Rasool-Allah
Theherne ko mile gi hashr mein jannat Muhammad ki
Na kyun ho naaz qismat par agar is tarah dam nikle
Zameen par mera sar ho saamne turbat Muhammad ki
Dua hai yeh Jameel-e-Qadri ki Haq Ta'ala se
Rahe kaunain mein hum par fuzoon shafqat Muhammad ki
Ghazal ek aur bhi parh ae Jameel-e-Qadri Razvi
Ke barse jhoom kar huzzar par rehmat Muhammad ki
Fida jaan-e-jahan fikr-e-do alam aur akela dum
Usay kehtay hain chahat aur yeh hai himmat-e-Muhammad ki
Malayik roktay hain is liye auron ko jannat say
Ke layi jaye pehlay khuld mein ummat-e-Muhammad ki
Arab wala chala hai bakhshwanay apni ummat ko
Machi hai saray khaas o aam mein shohrat-e-Muhammad ki
Kisay maloom hai woh janain ya un ka Khuda janay
Jo hai dargah-e-Haq mein izzat o waqat-e-Muhammad ki
Uloom-e-awwaleen o akhireen ka kar diya maalik
Khuda ne dhoom say ki arsh par dawat-e-Muhammad ki
Rasai ho nahi sakti wahan tak aqal-e-aalam ki
Huzoor-e-Haq hai jitni manzalat o waqat-e-Muhammad ki
Isharay say qamar ke do kiye suraj ko lotaya
Zamanay mein hai ashar taqat o qudrat-e-Muhammad ki
Batata hai yeh farman Huwal Mu'ti Anal Qasim
Barhay gi hashr tak kounain mein naimat-e-Muhammad ki
Faqiro be-nawa-o maang lo jo kuch zaroorat ho
Jhirakna phirna khali nahi aadat-e-Muhammad ki
Azal mein naimatein taqseem keen jab Haq Ta'ala ne
Likhi Jibrael ki taqdeer mein khidmat-e-Muhammad ki
Farishto qabr mein apni sanad hamrah laya hoon
Yeh dekho dil ke aaina mein hai surat-e-Muhammad ki
Fida kyon kar na ho jaan-e-jahan is sabz gumbad par
Ke is mein hai saji pyari dulhan turbat-e-Muhammad ki
Hazaron qudsiyon ki bheer hai rozay ki jaali par
Hazaron aa rahay hain choomnay turbat-e-Muhammad ki
Ajal jaldi na kar itni madinay aa hi pohanchay hain
Khudara dekh lenay day hamain turbat-e-Muhammad ki
Khilaf-e-Ahlesunnat sainkron mazhab huay paida
Magar ghalib hai sab adyan par millat-e-Muhammad ki
Abujahli kahay bid'at o lekin zikr-e-maulid say
Diloon mein ashiqoon ke barhti hai ulfat-e-Muhammad ki
Usay bid'at samajhta hai to kyon aata hai mehfil mein
Hamain to khench lati hai yahan ulfat-e-Muhammad ki
Qayam-e-zikr-e-maulid mein kharay hotay hain munkar bhi
Yeh hai is zikr ki rif'at yeh hai shaukat-e-Muhammad ki
Jamil Qadri Razvi tujhay kyon khauf-e-mahshar ho
Ke teray dil ke aainay mein hai surat-e-Muhammad ki