Aao mehfil mein ghulaman-e-Rasool-e-Arabi
Aaj hai josh pe faizan-e-Rasool-e-Arabi
Jhoomte phirte hain mastan-e-Rasool-e-Arabi
Hai mehak par chamanistan-e-Rasool-e-Arabi
Kaise ushaq thay yaran-e-Rasool-e-Arabi
Apne sar kar diye qurban-e-Rasool-e-Arabi
Aisi wusat se bichha khwan-e-Rasool-e-Arabi
Sara alam hua mehman-e-Rasool-e-Arabi
Kaaba-o-arz-o-sama shams-o-qamar hoor-o-malak
Hain sabhi tabay-e-farman-e-Rasool-e-Arabi
Hoor-o-ghilman ki tamanna ho na shauq-e-jannat
Jis ne dekha hai bayaban-e-Rasool-e-Arabi
Apni qismat pe na kyun fakhr karoon lakhon baar
Dekhoon jab gumbad-e-aiwan-e-Rasool-e-Arabi
Us ne Allah ke jalwon ka kiya nazara
Jis ne dekha rukh-e-taban-e-Rasool-e-Arabi
Un ki midhat nahi kuch ins-o-malak par mauqoof
Zarra zarra hai sana khwan-e-Rasool-e-Arabi
Kis ko sarkar se nemat na mili kaun hai woh
Jo nahi banda-e-ehsan-e-Rasool-e-Arabi
Ramz-e-mehboob-o-mohabbat kaun samajh sakta hai
Hukm-e-Rahman hai farman-e-Rasool-e-Arabi
Qabr-o-mehshar ka unhein gham hi nahi kuch aslan
Jin ke hathon mein hai daman-e-Rasool-e-Arabi
Un ka banda hua Allah ka mehboob bana
Saaf farmata hai Quran-e-Rasool-e-Arabi
Teera bakhton ke muqaddar ko zara chamka de
Ae ziya-e-dur-e-dandan-e-Rasool-e-Arabi
Deen-o-dunya ki mayassar hui un ko shahi
Jo huay dil se gadayan-e-Rasool-e-Arabi
Chhor kar saltanatein un ke bane khak nasheen
Afreen baad faqiran-e-Rasool-e-Arabi
Ro-ba-ro misl-e-kaf-e-dast hain dono aalam
Kaisi pur-noor hain chashman-e-Rasool-e-Arabi
Baad-e-hub-e-Nabi khoob jamayi rangat
Huay mast ghulaman-e-Rasool-e-Arabi
Chashm-e-dil gor-e-ghareeban ko munawwar kar de
Main fida shama-e-shabistan-e-Rasool-e-Arabi
Qabr mein jab ke Nakirein karein mujh se sawal
Main kahoon banda-e-darban-e-Rasool-e-Arabi
Dakhil-e-khuld kiye jayenge ahl-e-isyan
Josh par aayegi jab shan-e-Rasool-e-Arabi
Fateh-e-bab-e-shafa'at ke sabab hukm-e-mila
Jayen jannat mein gadayan-e-Rasool-e-Arabi
Ya Ilahi yeh dua hai ke baroz-e-mehshar
Sar pe ho saya-e-daman-e-Rasool-e-Arabi
Ae Jamil-e-Razvi teri haqeeqat kya hai
Jab Khuda khud hai sana khwan-e-Rasool-e-Arabi
Yeh Raza ka hai tasadduq ke Jamil-e-Razvi
Hua mashhoor sana khwan-e-Rasool-e-Arabi
Han suna koi ghazal aur Jamil-e-Razvi
Ke hain mushtaq muhibban-e-Rasool-e-Arabi
Izzat-e-Arsh-o-Falak paye Rasool-e-Arabi
Arsh-e-Rehman bana jaye Rasool-e-Arabi
Sar mein Ya Rab rahe sauda-e-Rasool-e-Arabi
Awr aankhon mein tajlaye Rasool-e-Arabi
Jin ke dil mein hai tolaye Rasool-e-Arabi
Kyun na bhaye unhein sahra-e-Rasool-e-Arabi
Daagh-e-ishq-e-shah-e-deen roz taraqqi pe rahe
Meri aankhein rahein joya-e-Rasool-e-Arabi
Us qad-e-paak ka saya nazar aata kyonkar
Noor hi noor hain aaza-e-Rasool-e-Arabi
Tishna kamon tumhein mujda ke baroz-e-mahshar
Josh par aa gaya darya-e-Rasool-e-Arabi
Eid ho mujh ko ke dekhein kabhi deedar-e-Khuda
Awr kabhi surat-e-zebaye Rasool-e-Arabi
Kyun dikhata hai tapish mehr-e-qayamat hum ko
Dekh hoshiyar ke woh aaye Rasool-e-Arabi
Ab barasti hai shafa'at ki bharn ummat par
Bakhshwane ke liye aaye Rasool-e-Arabi
Ummati wird-e-zaban taaj-e-karamat bar sar
Yun shafa'at ke liye aaye Rasool-e-Arabi
Kyun na mahshar mein pareshan phire woh kambakht
Jis ke sar mein nahi sauda-e-Rasool-e-Arabi
Hukm hoga ke usay dakhil-e-jannat kardo
Jis ke dil mein hai tamannaye Rasool-e-Arabi
Zer-e-daman-e-Nabi mahshar mein hum dekhein sair
Jab jalein naar mein aada-e-Rasool-e-Arabi
Chashm-e-Siddiq se dekhe koi un ki surat
Noor hi noor nazar aaye Rasool-e-Arabi
Apni aankhon ko maloon jaan tasadduq kardoon
Dekhoon gar naqsh-e-kaf-e-paye Rasool-e-Arabi
Gar sawalat-e-Nukairain se wehshat ho mujhe
Munh se nikle ke hoon shedaye Rasool-e-Arabi
Hoor-o-ghilman-o-jinan kyon na hoon tere mushtaq
Hai wazifa mera asmaye Rasool-e-Arabi
Hai tamannaye Jamil-e-Razvi Ya Allah
Mera maskan bane sahra-e-Rasool-e-Arabi